28.02.2016 Views

ANMOL TOHFAA

Create successful ePaper yourself

Turn your PDF publications into a flip-book with our unique Google optimized e-Paper software.

ANMOL

TOHFAA ……….

From Life Till Life ……

ANMOL TOHFAA

( Volume #1 )

Maaz Khursheed

(Author)

TOHFAA …. Sunne me jitna pyara lafz hai asal mai bhi utna e pyara lgta

hai jb wo hamare samne ho. Tohfay ki kai surten hain . Ham bachpan se

bohot se tarah k thofay dekhte hua arhe hain. Kabhi maa baap ki surat

me to kbhi behan bhaion ki surat me . Kabhi bachpan k khilonon ki

surat me ya papa ki di hui koi pasandeeda cheez ki surat me . Kabhi

doston ki surat me to kabhi zindagi k safar me sath dene wale haseen

sathi ki surat me . Ya yun kehna galat nahi hoga k ye zindagi jahan hame

Ataa e Rabb e Kareem hai , ak amaanat hai wahin ak tohfaa b hai. Ak

aesa haseen tohfa jo sabko azeez hota hai.Or tohfaa jb anmol ho to

insaan k aage uski qadar o manzilat or mazeed barh jati hai.

Insan apni zindagi main sbse pehla tohfa jo pata hai wo hain Maa Baap.

Wo tohfaa jo anmol tareen hai yani be_mol jiska koi mol nae koi brabari

nae. Ak aesa tohfa jiske hone na hone ka ahsaas insaan tb jaan pata hai

jb wo unki asal Qadar o manzilat ko smjh jay . Jo waqt rehte smjh gaya

wo Khush qismat or dono jahaan ki kamyabyon ka malik or jo nae smjh

saka to phr use bara nakaam koi nae is jahan main.

Insaan ka dusra or bohot aeham Tohafaa e hasil hota he use ak aese

sathi ka miljana jo uski baqyaa zindagi k safar ka ak dil deeda sathi hota

he jise Ham Saathi e Safar e Zindagi , Jeewan Sathi , Husband/Wife b

kehte hain. Ak aesa saathi jo apke hr dukh sukh main apke sth ak saay ki

tarah hota hai. Maa Baap k bd Shariyat e Islam ne agr ksi ka aala

muqam zikr kya hai to wo Jeewan Sathi hai.

Hr insaan khuwah wo larka ho ya larki , zindagi me yahi khuwaish yahi

dua krte hain k ALLAH unhe ak aesa Jeewan Sathi ataa kare jo sirf unka

hokr rahe , unki care kare , unse pyar kare , unko sbse zyada respect de

, zindagi ki sari khushyan unke qadmon lakr rakhde . Agr ksi k maa baap

unke idol hote hain to wo yahi dua krte hain k jo b unki zindagi ka sathiy

e safar bane wo unke maa baap ki chhawi ho.

Kher ap ye sochre honge k me to Tohfa / Gift pe essay likhna start

hogya ya kahun Tohfa pe lecture dena start hogya , hahahah kher

aesa nahi he me bs apni zindagi k us ak khas lamhon k sisile pe roshni

dalna chahra hun jo ab meri zindagi ka aHam hissa ban chukka he .

Hr larka / larki ki tarah mene b hamesha se ak khuwaish dil me rakhi k

meri zindagi me b ak aesi larki ay jo BaAkhlaq ho , Islamic teachings ko

obey krti ho , baron ko izzat chhoton ko pyar deti ho , zamane se qadam

mila kr chalti ho . In short mene apnelye dil me ak aesi larki ki chahat

rakhi jo meri maa ki chhawi ho , jisme meri maa wali qualities hon .

Main shuru se e duayn mangta k Ya ALLAH mujhe aesi e ak larki ataa

krde yani meri jeewan sathi bnade ak aesi larki ko jisme meri maa wali

qualities hon …….. Kher ! e Duayn mangta raha or wqt isi tarah

guzarta raha .

Btate hua thori hansi to aati hai but kehte hain k Cause n Effect ko

kabhi neglect yani nazar andaz nahi krna chaye phr chahe uska zikar

apke tazkire ka hissa e q na banraha ho. Wo tazkira FaceBook jesi social

site ka nahi balke Facebook ka e hai.

Ye ajse kuch 4 saal phle yani 2011 ki baat hai. Us waqt tak mere

Facebook pe kafi contacts ho chuke the yani ache khase janne wale

mere paas add the Facebbok pe. Usi saal November ki baat hai main roz

marrah k mamulat se farigh hokr facebook pe notifications etc waghera

check krne klye Login hua to ak notification aye hui t kuch istrah ki k

BUSHRA KHAN HAS ACCEPTED YOUR FRIEND REQUEST , GO AND CHECK

ON HER WALL THAT WHAT SHE HAS SHARED TILL NOW AND WHAT SHE

IS UPTO .

Mujhe thori c tashweesh hui or sochne lag gya k mene kb kisi Bushra

Khan ko request send kri jo accept b hogaye . Hahahaah ye sawal me aj

b sochta hun to hansi ati he k ye hua kese tha :D pr sth e shukar ada bhi

krta hun apne ALLAH ka k jo bhi hua bohot acha hua .

Kher btane ka maqsad ye tha k me apni zindagi ki sbse pyari or haseen

sathi se istrah mila . Ab mamla ye tha k mene mohtarma Bushra

Khan sahiba :p ko ADD to krlya tha apni id pe pr kuch din aese hi guzar

gaye ye sochte hua k yr me isse baat kese karun ya yun kahen k baat

shuru kese karun q k ye merelye bulkul ajnabi thi , me kuch nae janta

tha iske bare me . Phr khayal aya k iski friend list to dekhun kya pata koi

janne wala e nkl ay k jisse apni is new friend k bare me kuch jan sakun .

Kher jb dekha to janab k 3 mutual friends the jo mere bhi friends the .

Kher unse bhi kuch khas pata nahi chal saka .

Kher akhir kar wo kehte hn k Darta marta kya na krta :p use mera

pehla message kuch yun gaya k Assalam o Alaikum ! kya hal hain janab

sb kheryt ?? . Hahahah koi introvert parhe is sentence ko to bol

pare k bhae puch to aese rahe ho jese barson se jante ho is larki ko :D .

Ye mera pehla message tha use , or ak din ki musafat k bd kuch istrah

ka jawab mila mujhe yani uska message aya W.salam , Alhamdulillah !

Ap sunayn sb kheryt ?? . Ye message parh kr me mano jese apni

aknkhon ko masle jara tha , jhapkay jara tha k bhae ye kya hogya or

mera chehra jese heran kun wala andaz ikhtiyar kiye hua ho . Aesa islye

tha k me ajtk ksi b unknown larki se hal chal puchna to dur Salam tk kra

nae tha or uspe aesa hua is bar ksi ko Salam kya or phr is khush akhlaqi

se jawab b aya . Me sochra k bhae mujhe helusination yani khayali

palao pakane ki bemari to nahi hogaye hahahah , kher aesa nahi tha .

Phr istrah ahista ahista hamari baat shuru hui phr baton ka aghaz hua

phr silsila bana or phr qissa dur talak jata raha ;) . Waqt isi tarah guzarta

raha , Ham occasionally isi trah waqfe waqfe se baat krte rehte . Phr isi

doran hamari dosti hogaye or ye baton ka karwan waqfe se daily bases

pe ja pohncha . Kehte hn k Ham ksi ki baat zyada tr sunna us wqt

pasand krte hn jb us shaks k khayalat Hamse mail khate hon , tbhi uski

baten hamare dil o dimagh ko bhati hn or Ham phr use jari rakhte hn .

Aesa e hamare sth bhi hua . Use meri baten or mujhe uski baten bht

pasand atin . Hamne ak dusre ko in detail janna shuru krdya . Or maze

ki baat mujhe pata chalta he k mohtarma ka name Bushra Khan nahi

balke inka asal name to Erum Tanveer he . Really this even a nice

name as well Ma Shaa ALLAH . Acha maze ki baat hamari itni baaten

hotin apas me , asal name bhi pata chal gaya , education back ground

bhi pata chal gaya ak dusre ka k wo Medical or me Engineering se talluk

rakhta hun , family back ground kya he waghera waghera pr mene use

abtk dekha nahi tha q k meri picture to fb pe lagi hui thi pr uski nahi .

Mene use kbhi is baat pe force nahi kya k mujhe apni picture dikhao q k

mera ye manna tha k jb wo comfortable mehsus karegi to mujhe khud

dekhadegi apni tasveer . Not even k uska number tk nahi manga q k

mujhe khud ko pasand nahi tha . Kher kuch waqt guzra mazeed phr ak

din usne mujhe khud e apni tasveer dikhaye or wo din tha k mene use

pehli br dekha , wo bht khubsurat t or he Ma Shaa ALLAH . Shayd wo

mujhpe bharosa krne lag gaye t . Kuch or ho na ho mujhe is baat ka

yaqeen a chukka tha k ye un aam larkyon ki tarah nahi he . Phr jb usne

apni tasveer dekhaye to or b sabit hogya . Ak alg sa khubsurat sa pyara

sa chehra mere samne tha . Kehte hn chehra ayena (Mirror) ki tarah

hota he wo sb btadeta he k samne wala kesa he . Uske chehre pe ak agb

c masoomyat t . Ak agb c bht e simple c seedhi sadhi c muskurahat thi

uske chehre pe. Na sirf muskurahat balke uske andaz uski pehnawat me

b sadgi thi.

Asaan alfaaz me sadgi se pewast ak haseen mujassima jese apke samne

agya ho . Me use us wqt to kuch nahi keh saka bs halki c tareef krke

khamosh hogya .

Ab hua kuch yun k me to Karachi University me parhta tha or wo Jinnah

College me . Mera Second year ka second semester chalra tha to

hamare department k rituals and norms k according hr saal ak Annual IT

event organize hota to us year me us event ko Host krha tha . Ye baat

mene use btai to wo bohot khush hui or mene sath he use us event me

ane klye Invitation di . Mujhe ab bhi nahi lagta tha k wo aygi is event me

pr phr bhi mene use ane ko kaha . Invite me mera number bhi tha k agr

use koi masla ho to mujhe call krle . Usne meri invitation accept krli or

kaha k me zarur aungi . Kuch intezar k bd event day agya , me apne

department me mojud tha or chunke host tha to sare intezamat bhi

lead krha tha . Isi doran ak number se call aye , mene receive ki to dusri

taraf ak larki thi , jisne halki c awaz me kaha k Assalam o Alaikum !

Maaz me apke department pohonch chuki hun , ap kahan hain ?? .

Mere jism mano jese thanda pargya ho , I was like a shocked element q

k mene expect nahi kya tha . Kher ye uska ak tarah ka bharosa tha , sbse

pehla bharosa jiski bunyad pe hamara relation aage barha . Mene kaha

phr k G Erum ap gate pe e ruken me arha hun apko pick krne . Me sb

kam chhor jese bhagta hua department k second floor se ground floor

pe ja pohncha k kahin use zyada intezar na krna parjay . Me bhaga gate

ki taraf or wo pal tha jese , me gate se thora pehle ruk gaya or use gate

k andr enter hote hua dekha . Ye wo pal tha jise me kabhi nahi bhula

sakta . Me use pehli baar apni ankhon k samne dekhra tha banafse

nafees . Wo pal jese tham sa gaya ho , sir pe dupatta dale hua bina

makeup k bht e simple se dress me ak larki meri taraf barh ti hui chali

ari thi . Ap tor pe ksi b event me hr larki tayyar hokr ati he take achi lage

pr isne aesa kuch nahi kya hua tha pr phr b Khubsurti uski apne kamal o

yrooj pe thi . Asaan alfaaz me wo bohot bohot pyari lagri thi . Ye sach

he k mene apni zindagi me bager makeup k ksi larki nahi dekha tha jo

itni pyari ho or na he expect kya tha k koi larki bagher makeup k itni

hasee o jaeel hi azar askti he ……. Kher ye sah tha or he o

Kamal e husn me apni missal aap he , uska koi comparison nahi

seriously .

Wo mere qareeb aye , Hamne ak dusre ko salam kya . Ajkl larkyan

tasveeron me ache lagne ki garz se different pose , style or makeup

waghera me tasveeren khenchti hn . Pr usme baat e alg thi . Tasveer me

ho ya banafse nafees wo khud mojud ho samne , koi farq nahi tha . Yani

imandari uski jhalak me b jawedan thi .

Kher phr me use apna department dekhane department k andr le aya .

Use aka k kona dekhaya department ka , konsi chz kahan pe kis maqsad

k tehat hori he sb dekhaya bataya samjhaya . Phr apne allotted room

me use bethaya . Me itna nervous tha k mujhe kuch smjh e nahi arha

tha k kya karun kese puchun hal ahwal , khane pene k hawale waghera

aghera …… Kher kuh der guzra or eet start hoe se had its

pehle mene use pehla gift dya , a friendship gift . Wo ak teddy bear tha

jo mene specially uskeleye usse milne se ak din pehle jakr khareeda tha

. Usne mera tohfa qabool kya or pasandeedgi ka izhar kya , khush hui .

Use bht pasand aya or usne bare mohazzib tareeqe se lekr sambhal kr

rakhlya . Mere diye hua tohfay ki pasandeddgi ka izhar krte hua mujhe

shukrya kaha

Event ki waja se me use usdin zyada time nahi desaka or isse pehle k

me use ksi cheez klye puch pata , usne bhanp lya k me kafi masroof hun

use abhi yahan se chale jana chaye . To kher usne mujhse ijazat li or

mujhe usse mazrat krni pari or phr wo chali gaye wahan se . Event k bd

meri baat hui to mene usse mazrat kri to usne meri baat ko smjhte hua

tasalli ka izhar kya or mene itminan ka saans lya kyun k uske jane k bd

pure event me is fikr me tha k ak to mene use bulaya phr waqt bhi nahi

desaka , lekin jb usse baat hui uska mizaj mood dekha to phr itminan ka

saans lya k shukar wo naraz nahi he

Wo bohot smjhdar or zaheen he , bs use samjhane ki der hoti he . Use

uske level pe akr kuch b samjhao to wo foran smjh jati he . Na sirf ye

balke usme khud b kafi smjh dari he Ma Shaa ALLAH.

Acha maze ki baat jb meri baat cheet shuru hui Erum se to mujhe

adaza ae tha k iska ak orrr…… roop hi hai ;) .Hahahaahah e positie

, mera mtlb hai k wo jitni polite , innocent , samjhdar hai wahin sbse

zyada gussel , nakchiri or ziddi bhi hai :D . Bs koi bhi baat uski marzi k

khilaaf krdo ……. To ssss sae ala gaya ka se . Ma oak last hota

hai bilkul usi tarah ka jesa Hiroshima or Nagasaki pe hua tha or jistrah

wo 2 big cities khatam hogay the usi tarah iske gusse se samne wale ka

wesa haal hota hai ;) :D.

Kher waqt ka pata hi na chala , jese jese waqt guzarta raha mano jese

Ham dono me hum ahangi barhti jari thi , ak dusre ko bht achi tarahan

smjhne lage the . Kya khushi ka moqa ho kya ghami ka , dono ak dusre

se hr baat share krte. Alg fields but tech lovers hone ki waja se hame hr

wo chz pasand thi jiska talluk Science and Technology se tha . Aesi bht

see chhoti bari ak hi pasand ki bina pe Ham ache se bohot ache dost kb

bane pata e nae chala . Phle hamari bohot km baat cheet hoti t wo b

just fb pe ab haal ye tha k ab roz hamari baat cheet hoti thi . Number to

hamare ab ak dusre kai pas aa he chuke the , to ab hame net ,

computer , online , fb ka intezar nahi krna parta . Ham jb chahte jahan

chahte ak dusre se ghanton baat krte . Aps me baat krte kb hamari

baton ka doranya(duration) ghanton me tabdeel hojata pata he nahi

lgta. Ham dono ki dili hamaahangi (mutual understanding) barhne lagi

thi . Srf baton ki hadd tk silsila nahi tha , Ham ak dusre kay bht qareeb

agay the istrah k ak dusre ko mante , achi tarah jante , ak dusre ki bohot

care krne lag gaye the .

Kbhi wo hansati to kbhi main , kbhi tareefen hotin to kbhi shikwe , kbhi

pasandeeda he cheezon ka zikr hota to kbhi khuwahishon kay khuwab

sajte. Aese hi baton baton me mene usse pucha k me kesa insane lgta

hun tum ko to usne kaha A complete man jo samjhdar he intelligent

and mature he . Meri care krta he mujhe samjhta he meri parwah krta

he meri manta he , hn bs ak cheez kay single pasli he :p uske ilawa sbse

khubsurat he . Hahahahah uski ye baten sunkr jahan me hansta tha

wahin heran bhi hota kyun k wo mujhse mere bare me wo baten krti jo

mere parents k ilawa or koi nakrta tha . Uski baton me najane kya khaas

baat t k wo jb bolti to me bs suntan rehta tha , wo kehti me manta jata.

Zindagi me pehli baar hua tha kay me apne parents k bd ksi ko itna

manne laga tha , mujhe khud nahi pata tha kay ye sb kya tha .

Use bohot acha lagta tha jb me uski care krta or wo meri . Me dil he dil

me use chahne laga tha pasand krne laga tha but uske dil me aesa tha k

nahi mene jana nahi tha tbtk . Use ye baat khne se bhi darta tha , darr

lgta tha k mujhse wo dur na hojay kahin ye soch kr kay me bhi un larkon

ki tarah hun jo khubsurat larki ko dekhte he unse chahat o mohabbat ki

baten krna shuru hojate hn . Ye bhi sochta tha kay pata nae kya soche

mere bare me bcz me koi handsome charming larka nahi just ak simple

sa common sa larka tha jo ak simple see normal zindagui jeeta tha , jbke

wo Ma Shaa ALLAH se bohot kbhubsurat , simple and decent he shuru

se yani koi dikhawa nahi usme . Jesi he wesi dikhti he yani koi additional

complexitivity koi sho sha nahi usme . Hahahah dimagh me istrah kay

trailor chal rahe hote kay jisme larka larki ak dusre se to khoob hansi

mazak tafreeh krte hain , larka larki ko chahne lagta he pr jb propose

krne jata he to ak karare daar thappar khakr karare daar sunkr waps ata

hai Shakal dekhi he tumne apni , lallu panju lagte ho . Zara hans kr

baaten kya krlin tum to kuch or he matlab nikal bethe hahahah or

istrah kay kaye or scenes mano cartoons ki tarah dimagh kay ird gird

ghumte phirte hon jese :D

Kher waqt kay guzarte sth hamari understanding barhti rahi . Ak din

usne khud mujhse kaha kay

Maaz you aRe A VERY NICE PERSON, SPECIALLY tum MERI BOHOT CARE

KRTE HO. Tum KO PAKR KOI B LARKI APNE AP KO LUCKY FEEL KAREGI

SARI ZINDAGI. You aRe SUCH A CARYING AND LOVING PERSON FULL OF

LOYALTY.

Uska ye kehna mujhe apne ap me kuch special feel karane laga. Ye sach

tha uske aesa khne se phle me yahi sochta tha kay me hun kya , ya meri

life me kuch special bhi he ya meri life bhi aese hi commonology ki

tarah guzregi . Kher ab aesa nahi tha . Uski baton ne mujhe apnelye

special feel krne pr majboor krdya tha , aesa lagne laga tha jese me bhi

kuch hun , me uski waja se muskurane lag gaya .

Wqt aage barha , wo apna BSC complete krke farigh bethi thi . To mere

mashware ko mante hua usne SSUET ka ak course join krlya jahan me

khud as a Trainer teach krta tha . Wahan wo mujhse training lene ati or

hr hafte me use kuch na kuch new aspects kay hawale se train krta . Isi

doran meri farmaish pe wo merelye khud apne hathon se meri one of

the favourite dish Pasta bnakr laye . Really uske hathon me Jadoo hai

zaiqa hai . Me bs uski tareefon kay pul bandhta gaya . Hr hafte Ham

kuch na kuch tafreeh zarur krte . Kuch ajeeb sa hi scene hota tha . Ak hi

lab main jahan sab boys girls merelye students hote the wo merelye

alag hi meanings main thi . Special attention deta usko .

Akhir kar darte darte us course kay end hote he akhir kar mene himmat

juta hi li kay bs aj kisi tarah use bta hi dunga kay main kya feel karta hun

uskeleye. Dekhne ko to sb ak filmy scene sa chalra tha pr haqeeqat

main mera dil halaq main aya hua tha . Dimagh bs ak hi baat sochra tha

kay beta jee aj ye kashti ya aar hojaygi ya paar hojaygi .

Mera mamool tha kay class kay baad main khud sath ja kr use chinchi

main chhor kr ata take wo sakoon se ghar ko rawana hojay ya phir khud

usko ghar drop krke apne ghar klye rawana hota . Pr wo din mamool se

thora bhi nahi balke puri tarah mukhtalif tha . End of course day tha to

usdin Ham university se nikal kr ak jaga beth gaye . Hr weekend pe

milkr jistrah baaten krte the aj wo usi tarah baat kri thi pr mere dimagh

me kuch or hi chalra tha , hawayyan uri hui thin mere chehre ki . Usne

bhanmp lya kay koi to baat hai . Isse pehle kay wo sawalaat shuru krti

mene khud pehle hi usay propose krdya. Darta kya na karta use bol he

dya kay…… Erum Me tumhe bohot pasand karta hun or apni zindagi ka

hissa banana chahta hun . To ijazat hai ?? . 1 mint klye jese mano

khamoshi sa sama ho sannat chha gaya tha Ham dono kay beech . 1

mint ki movie ya drama serial jesi shanti wali silence kay baad uska

jawab aya Haan ijazat hai sth hi ak sadgi wali muskurahat bhi thi uske

chehre pe . Usne mere proposal ko accept krlya tha .

I was happy pr……….. uski uskurahat k peche chhupi mene uski fikr ko

dekh lya tha . Usne muskura kr Haan to kehdi thi infact wok hush thi pr

ak fikar ja jese us khushi main shamil tha . Shayd han shayd na pr main

uski fikar ko smjh chukka tha kay wo fikar kyun or kis baat ki wajah say

thi. Kher wo din tha or aj ka din , usne mujhe bilkul badal dya . Me ab

wo phle wala Maaz nahi raha jo gumsum , chup chap , apne kamon me

magan or akela rehta tha.

Usne mujhe jeene ka ak naya andaz sikha dya tha . Me muskurane lag

gaya , zindagi ko enjoy krne lag gaya. Mera dunya ko dekhne ka nazarya

hi badal chuka tha . Ya yun kahun ak naya view point add hogya tha

mere nazarye me. Mera uskelye care , pyar or barhta chala gaya.

Pehle mera routine tha kay subh university phir wahan se office or

office se ghar ki rah leta . Ghr akr family kay sth kuch waqt bitaya or

phir souna or agle din wahi zindagi ka routine. Pr ab aesa nahi tha , is

pooooorrre…….. routie e hr ak part e a o shail ho huki thi or

hai . Subh Good morning ka message krke wish karna phr kher khabar

lena , specially break fast kay hawale say kyun kay khane peene kay

mamle me mujhse bara chorr shayad uskelye or koi nahi :D . Islye break

fast ka to zarur puchti hai . Phr Ham apne apne kamon main lagjate ,

again phr lunch kay waqt puchna uska phr beech beech main kher

khabar lete rehna . Ghar ata to ab ak zehan main fikar rehti hai kay

erum ko btana hai kay main ghar pohonch chukka hun . Phr dinner ka

puchna or soune se pehle bhale koi kitna bhi q na thaka hua ho thori

see he sahi conversation lazmi hoti hai warna phir madam ko manao .

Or agrrrrrrr Erum sahiba ak baar naraz hogayen to bssssss . Board exam

ka paper clear krne jitna mushkil kaam hota he usay manana balke

kabhi kabhi to isse bhi zyada mushkil . Pr use manana mujhe bohot

pasand hai . Apnayyat ka ak alag hi ahsaas hota hai . Ab mohtarma ki

narazgi ka zikar aya hai to phir baqi cheezon ka bhi zikar ana chaye na

jese unka gussa . Ufffff gussa na ho mano atom bomb ho . Jb gussa ay

to tabahi baad me sannata pehle :D . Agr meri baat ki jay to main gussa

cheezon pe nkalta hun , but erum gussa khud pe nkalti he like gussa aya

khana nahi khana , gussa aya nahi souna , gussa aya kam side . Or jb

pucho kay bhae aesa kislye to janab ne apne kuch specific short term

statements bnakr rakhe hua hn like : HAMM , HAMMM …. , ACHA , G ,

Ham :D . Gussa mano jese naak pe ready rehta he , zara sa bhi marzi kay

khilaf kuch krdya to shamat meri . Jeeeeeee kahin kuch bhi hua ho

shamat meri hi ani hoti hai :D.

Or dant to mujhe uski sbse cute lagti hai , or cute lagne ki kafi reasons

hain . Jab wo dant rahi hoti hai to uska chehra dekhne wala hota hai but

main hansra hota hun hahahah pata nahi kyun uski dant ka mujhpe

andruni asar to ho raha hota hai but zahiri tor pr me like mu pharr kr

hansra hota hun uski dant pe jis waja wo or aag bagola hojati hai :D .

Phir baat ati hai uski cuteess , ioee ki . “se zyada asoo …..

goya bachpan se hi ye sari cheezen uske chehre pe qaid ho . Agr main

kahun kay wo khubsurat hai , masomm hai , innocent hai , ziddi hai ,

gussel hai , pyari hai , cute hai , to bhae haaaannnnnn ye sab

characteristics ak hi larki main paye jati hain or wo Erum hai

Kb wo mujhe mujhse zyada azeez hogaye me nahi jaan saka . Ham dono

ko ak dusre ki adat hogaye . Dil hi nahi lagta ak dusre ka ak dusre kay

bagher . Ak din bhi hamari baat na ho to ak dusre ka dil udas hojata hai.

Kehte hn k pyar me ye sb hota he , but ye sirf pyar nahi tha . Ye ak

chahat hai ak ahsas hai ak izzat hai ak dusre ki ak dusre kay dilon me ak

dusre klye or ye sb aj bhi barqarar hai .

Sunkr herat krne wali baat ye thi k uski birthday 1 st April ko ati he . Jb

usne mujhe ye baat batai mujhe bohot hansi aye or me samjha k ye

mazak krhi he mere sth but usne mujhe jb seriously kaha to mujhe

yaqeen agya k waqi iski birthday isi date pe ati he .

1st April ka day jisdin ALLAH ne ak nannahi pari ko Mr & Mrs Tanveer ki

jholi me dala . Wo haseen din kay is pyari see pari ko Aasmaan se

Zameen pe utar te hua ALLAH ne kaha hoga kay tu neche zameen pe

utar tere baap ka bazu Me(ALLAH) khud banunga . Such a blessfull

person she is Ma Shaa ALLAH, full of life . Kya hansna kya rouna uska

sab kuch alag sa hai. Hahahah hr cheez me jaldi jaldi krna , baaten b

aese jaldi jaldi krti he k jese aage moqa na mile . Har pal ko khul kr jeeti

he pr uske is ahsaas me ksi kone me ak chhota sa darr chhupa betha

rehta he . Kher me janta hun kay uske is darr ko side krke use tension

free hokr smile kese karaya jay .

So dekhte hi dekhte uska pehla birthday aya mere sth , dil to bohot tha

kay bohot hi ache tareeqe se or surprisingly celebrate karun uska

birthday but kuch circumstances ki waja se nahi karsaka. Kher koi baat

nahi phr b uskelye ak acha sa gift liya or birthday wale day use gift kya .

I was imagining to my self kay zindagi me pehli br agr ksi larki klye gift

lya to wo Erum he. Sth hi chocolate ka ak wadda bar kyun kay use

Cadbury Dairy Milk bohot pasand hai . Hr ksi ki tarah wo bhi apne

birthday wale day bht khush thi .

Is larki ne mujhe hr bar surprise kya apne acts or apni baton se . Na

jane kya khas baat he isme . Mene kabhi na socha tha kay iski chahat

me main itna aage barh jaunga kay iski hr chz mujhe pyari lagne lagegi .

Yani iska gussa , iska dantna , iska muskurana , Karachi express ki speed

me khana peena :p ye sb harkaten iski mujhe bohot cute lagne lag

gayen .

Erum kuch alg hai baqi larkyon kay banisbat kuch different see. Usme

kuch or hi baat hai . Hahahah bolte bolte khud me kho jana , apni baton

ko khud hi justify krna . Uski dant me bhi mujhe hasni ati .Phr b khud hi

gussa krke khud udas hojati hai kay mene maaz pe gussa kyun kara use

kyun danta . Jbtk use yaqeen nae hojata kay me naraz nahi hun majal

he kay uske face pe smile waps ajay or isi smile klye me dara rehta

hun k kuch bhi ho bs ye gayb na hojay . Hamesha meri koshish rahi hai

kay bhale me udas rahun bs ye pyari see larki udas na rahe.

Silsile yun hi chalet rahe , wo hr chhote bare masle mujhse share krti he

. Focused rehti he kay main kya jawab dene wala hun , kya suggestion

suggest krne wala hun . Ghor se sunna mene job hi kaha btaya

samjhaya .

University main MSC kay admission lene ka waqt aya to pareshan kay

kya krun kese prepare karun . Ak to hr baat main jaldi pareshan bhi

hojati hai . Phr aram se thande dimagh se samjhao to janab ko jakr smjh

ati he baat or tesion release hoti he . Kher phr janab ne Tuitor Maaz ki

sohbat main :p aptitude test clear kya finally Ma Shaa ALLAH

Fight to hamari bohot hoti rehti hain pr ham phir ak dusre ko manaa bhi

lete hain .

Kher phr meri birthday aye or usne mujhe ak payara sa Glass Boxed

Teddy Bear gift kya . I was such happy to get that from her . Hahaah wo

teddy bhi bilkul cute hai uski tarahn .

Phr again uski birthday aye or is baar mene uski or apni doston kay sath

milkr uski birthday celebrate kara or use surprise dya . Just like 1 month

pehle main exams ki preparation krta usi tarah is baar 1 month pehle se

uski birthday ki planning krna start krdi thi mene . Is baar uski khushi ki

inteha nahi thi . Hr cheez uski pasand ki arrange kri thi mene ALLAH k

help se . Yani uska favourite cake , surprising style , dher sari masti ki

planning uski friends ka uskelye , uska favourite food yani pizza .

Usdin uski khushi uske ankhon se uske rukhsaar pe saaf dikhri thi . I was

eally happy too k wo bohot khush thi or mene ALLAH ka shukar ada

kara k jahan USNE mujhe mere parents ki muskurahat ka zarya bnaya

wahin erum ki muskurahat ki wajah bhi me hi bana

Is tarah kay bohot se moments ham abtak sath jee chuke hain like 14 th

August wali din uske kuch na khane kay mood ko badal kr pizza khilane

lejana , ice cream or is trah ki or bhi activities time to time .

2015 end ho chukka hai or ab main pass out ho chukka hun pr uska abhi

ak saal rehta hai education end hone main . Zindagi masroof hogaye he

hamarelye pr Ham ak dusre klye kabhi masroof nahi .

Erum ne pehle kabhi Cinema me movie nahi dekhi thi but hum sth pehli

Cinema gaye ak movie dekhne namely Prem Ratan Dhan Payo :D.

Hahahahah that was really a day full of joy . Usdin mene use khul kr

jeete hua dekha . Humne sath shopping ki and guess what I really felt

much more happy kay usdin usne mere peson ko apna samajhte hua

apni marzi shopping kri apni marzi ki cheezen lin wo bhi dil se first time

. Phir hamne movie dekhi , phir lunch and then back to home .

Usdin uski khushi ka thikana nahi tha . Ak time tk daily Ham us day kay

hawale se koi na koi discussion krte rehte :p

Wo meri hr baat manti hai , meri hr baat smjhti hai , mujhe samjhti he ,

mujhe kbhi akela nahi chhorti . Kbhi me udas hojaun to khud b bhale ksi

udasi me ho sb bhula kr mere face pe muskurahat laati he . Apne se

pehle mere bare me sochti hai , apne ghar walon k bare me sochti he ,

mere ghar walon k bare me sochti hai . Sbko khush rakhna janti hai.

Erum sirf ak larki nahi jise me khud se zyada chahta hun but ak aesa

ahsas he, ak aesi shakhsiyat jisne mujhe badal dya. Kabhi na socha tha k

ksi ko me apne maa baap kay bd itna chahne lagunga kay mere jeene ki

or meri muskurahat ki waja banjaygi .

Kehte hn hr larka / larki apne liye ak aese sathi ki chah rakhte hain jisme

wo apne parents ki chhawi dekh saken . Mene bhi apne ALLAH se yahi

dua mangi thi k ALLAH mujhe aesi e ak suljhi hui jeewan sathi ataa

karde jo meri Maa ki chhawi ho . Or Erum waqi meri maa ki chhawi he

yani usme wo sari qualities hn jo meri maa me hain . Ak aesi larki jo sirf

surat se e nahi balke seerat se bhi khubsurat he or na sirf khubsurat

balke kbhubsurat tareen he. Ghar ko jord kr rakhne wali , baAkhlaq ,

baron ka adab or chhoton ko pyar dene wali , carrying and loving or

sbse bari baat Islamic teachings pea mal krne wali . Islamic history b

janti he . Ak aesi larki jisme ye sari qualities hon or wo mujh jese insaan

ko miljay to meri luckiness ki inteha kya hogi is baat ki jaanch me ajtk

khud nahi karsaka. Wo mere ALLAH ki ataa ki hui ak Naimat se km nahi

ya yun kahun ak aesa ANMOL TOHFAA jo naseeb walon ko milta he jo

lucky hote hain .

HADEES : Huzoor S.A.W ka irshad hai mafhoom hai k ,

Ache mardon klye Achi aurten

Me ye to nahi janta k main khud kitna acha hun pr ak baat janta hun k

Qismat wala hun k Erum jesi larki meri zindagi me ak Anmol Qeemti

Naimat hai .

Dua krta hun k Ya ALLAH jistrah Erum ko meri zindagi me shamil kya usi

tarah meri zindagi ka hissa , meri zindagi k safar me meri akhri saans tk

ka mera sathi bhi baade …….

Aaee ..…

Signature : ME

Or zidagi phir isi tarah raa daa hai ………..

Ye book me jb use gift krunga to usdin uska teesra birthday a chukka

hoga

Hooray! Your file is uploaded and ready to be published.

Saved successfully!

Ooh no, something went wrong!