05.04.2016 Views

hayat_e_goraizaan

Create successful ePaper yourself

Turn your PDF publications into a flip-book with our unique Google optimized e-Paper software.

dainay ka parinaam kiya ho ga aur anjaam ka bhogtaan

kaisay ho sakay ga.

Kisi ghalt ka chop kar hona bhi ghalt hai laikin os kaam

ka barsar-e-aam aur qanoni ya samaji ya aazad honay ki

haisiat say honay ki noeat qatee mukhtalif hai. Os ghalt

kay hawala say ghalt'kar hi motasar nahain hotay

balkah oon ki ghalt'kari society ko bhi lay dobti hai.

Hum'jinsi ko koee bhi haisiat dainay walay shaed nahain

jantay kah is ka shakas aur society par kiya asar ho ga

aur yah choot ki haisiat ikhtayar kar gaee to pori insani

baradri ka kiya ho ga. Chand mobtala ashkas ki shakasi

aazadi ko lay kar ya ossay vote power samjh kar pori

society ka baira gharaq nahain hona chahiay.

Is ghalt'kari kay noqsanaat kay zimun main chand

morozaat paish karta hoon:

Eak shakhasi discharage say eak karoor aur sola lakh

kay qareeb saparm ka akhraj hota hai. Her saparm main

insan bannay ki salahiat mojood hoti hai. Goya mobtala

Hooray! Your file is uploaded and ready to be published.

Saved successfully!

Ooh no, something went wrong!