07.05.2015 Views

SAKHTYAAT, SAKHT SHIKNI AUR RAAD-E-SAKHT EAK OMOMI MOTALAH

SAKHTYAAT, SAKHT SHIKNI AUR RAAD-E-SAKHT EAK OMOMI MOTALAH Maqsood Hasni Kasur Pakistan maqsood5@mail2world.com

SAKHTYAAT,
SAKHT SHIKNI AUR RAAD-E-SAKHT
EAK OMOMI MOTALAH

Maqsood Hasni
Kasur
Pakistan

maqsood5@mail2world.com

SHOW MORE
SHOW LESS

You also want an ePaper? Increase the reach of your titles

YUMPU automatically turns print PDFs into web optimized ePapers that Google loves.

aala’kar hain balkah her daal kay sath in kay

tavasat say na’ya madlool nathi hota chala

jata hai. Is zimman main is haqiqat ko kisi

lamhay nazar andaz nahain kiya ja sakta kah

jab tak Mosannaf, Qari, aur shair daryafat

kay amal kay darmiyan madoom nahain

hoon gay, naya madlool hath nahain lagay

ga. Issi tara kisi daal kay pehlay madlool os

ki moot say naya madlool samnay aata hai.

Pehlay ki haisiat ko gher’lachakdar aur os

kay majoda vajod kay aitaraaf ki surat main

na’ee tashreh ya phir na’ay madlool ki

daryaft ka koee hawala baqi nahain rehta.

“mein hoon” ki hat mo’amlay ki dihgar

ra’vishoon tak rasaee honay nahain daiti.

Rovaeay, asool, zabtay aur tagheraat kay

vajood–o-nataej aur awamil ki nature, os ki

theory say mukhtalif nahain hoti. Tagheraat

eak say hoon, eak tarah say hoon, eak jaga,

eak waqt say mukhtalif na hoon, ya

hoo’bahoo phelay say hoon, say ziyada

koee ahmaqana baat nahain ho sakti. Agar

tagheraat eak say vajood aur eak say

awamal kay sath jurray nahain hotay to oon

Hooray! Your file is uploaded and ready to be published.

Saved successfully!

Ooh no, something went wrong!